Tu chal safar mein himmat se ek baar
Raste khud-b-khud bante jayenge;
Ya phir phela de pankh khole apni baahein,
Teri udaano se wakif duniyan jahan khud hi ho jayenge.
Hai manzil khud mayassar intezar mein tere,
Mukhtalif hai tu zamane se,
Tu kya mane kisi ke dastoor yaha ,
Tujhme hai fitoor bhara wakif hai zamana fitrat se tere.
Apni samajh se sikh ke tarkeebein,
Falsafa aazmayeja;
Tu hai,Kaafi hai,
Iss baat ko dohraye ja.
Tu chalega toh satayegi
Tu udna cahega toh darayegi;
Tu maat maan haar iradon se,
Ye duniya khud hi tujhe maan jayegi.
Tu hai toh mumkin hai khwab saare,
Tere hone se teri hasti hai;
Tu kya khud ko talashein duniya mein,
Teri duniya tujhmein basti hai.
Comments